Description
Kya Aap Par Jadu Hai? – Rohani Ilaj
Kya aap is cheez ki tasdeeq khud karna chahte hain k kya aap par jadu hai? Wese to kalay jadu ki bohat c aqsaam hain lakin aaj ka mozu un afrad k liye hai jin k ghar mein khoon k cheentay partay hain ya khoon k qatray girte hain. Hamaray mushahidat k mutabiq ghar mein khoon k chinte padhna ya katray girna ki waja zaroori nahi k kala jadu hi ho. Mumkin hai k ghar k sehen mein koi bili waghaira kisi janwar ka shikar kar k guzri ho ya ghar ki chat say koi kawwa kisi shikar ko lay kar guzra ho to us surat mein bhi ghar mein khoon k cheentay par jatay hain. Jis k nateejay mein us ghar k afrad nafsiyati taur par mukhtalif waswason ka shikar ho jatay hain k shayad un par kisi nay jadu toona kar dia hai. Isliye wo mukhtalif Amileen say jadu ka mukamal tor karwanay k liye unhen bhari raqam bhi ada kartay hain. Isliye jadu ka tor karwanay say pehle is cheez ki tasdeeq zaroor kar lein k kisi shikari janwar yani bili waghaira ka ghar mein ana jana to nahi. Lakin agar cheentay parnay k baad ghar mein achanak apko aisi alamat ya nishaniyan dikhai dein yani larai jhgagray, rizq ki tangi, karobari nuqsanat, sehat ki kharabi, anjanay hadsat, bay sakooni, ibadat se doori, saya o asaib ka dikhai dena, khawab mein sanp, siah libas mein malboos bhiyanak chehre, accident, mout ya kisi dushman ko apnay ooper jadu kartay dekhna, bina kisi waja k ghabrahat, baychaini aur depression, nuqsan pe nuqsan hona, mamooli baton par intehai gussa ana aur ankhen surkh ho jana, mian biwi k larai jhagray aur behen bhaion mein mamooli baton par mar pitai aur narazgi ya is qisam ki deegr pareshanion ka achanak ajana jadu tonay ki alamaat ho sakti hain. Ab masla ye hai k is cheez ki pehchan ya tasdeeq kesay ho k kiya ye kalay jadu k asrat hai ya koi janwar shikar lay kar guzra hai. Is maslay ka behtreen hal jadu tonay ko check karnay k liye aik khas rohani amal hai jo ap k liye paish e khidmat hai. Is amal k doran fard ka wajood khud ba khud right side par ya phir left side par ghoom jata hai. Ye aik aisa pur israr rohani amal hai jis ki adaegi k doran baaz afrad ko un k masail ka hal unki ankhon k samnay nazar bhi ana shuru ho jata hai. Is rohani amal ki khasiyat ye hai k is say milne wala ishara taqreeban 95% darust hota hai. Is rohani amal ka tareeqa kar ye hai k sab say pehle bawazu hon aur qibla rukh jae namaz bicha kar us par kharay ho jaen aur 11 martaba Darood e Ibraheemi talawat karen. Us k baad ankhen band kar lein. Apnay sawal ko apnay zehen mein aik martaba repeat karen aur phir Surah Fatiha ki ayat mubaraka “Iyyaka naaboodu wa iyyaka nastaeen” ki takrar poori tawajo k sath 5 minute tak karen. Amal k doran apka wajood ghair iradi taur par harkat karta hua khud ba khud right side par murna shuru ho jaega ya phir left side par. Aap nay apne wajood ko khud se harkat nahi deni aur wajood jis simt mein ghoom raha ho usay rokna bhi nahi. Is doran ankhen hargiz na kholen. Agar bay khayali mein ankhen khul bhi gaeen to ap ko ye amal dobara karna hoga. Agar ap ka wajood right side par ghoomay to ye is cheez ki tasdeeq hai k ap par kalay jadu ka waar chal chuka hai. Agar apka wajood harkat karta hua ahista ahista left side par ghoom jae to iska matlab hai k ap par jadu nahi balkay ye mehaz apka weham hai. Yaad rakhain k is amal k doran right ya left ishara hona atal hai. Agar apka wajood right ya left dono mein say kisi taraf bhi na ghoomay to iska matlab hai k ap say ye amal sahi ada hua hi nahi. Aisi surat mein yehi amal dobara karen ya kisi aur se karwaen. Insha Allah ishara zaroor hoga. Agar apko tasdeeq ho jae k ap par kalay ilm ya jadu tonay k nehas asrat hain to ap hamaray Pray Centre se Taweez jiska naam Naqsh e Noori hasil kar k Bazurgon ki hadayat k mutabiq pehnen. Naqsh e Noori k fazail o barkat k baray main Mahreen e Rohaniat farmatay hain k 100 saal purana jadu bhi ho to us k asrat hamesha k liye khatam ho jatay hain. Ghar se bemariyan, larai jhagray, nahusat, nuqsanat, shaitani waswasay, rizq ki tangi aur deegr pareshanian aisay khatam hoti hain jesay k wo theen hi nahi. Us ghar par dobara kabhi kalay ilm ya jadu ka waar na chal sakega. Agar koi amil ya dushman jadu karna bhi chahe to uska kiya hua jadu ka waar usi par palat jaega.
Yaad rakhain k jadu ki tasdeeq k liye ham nay jo rohani amal bian kia hai wo sirf un afrad k liye makhsoos nahi jin k ghar mein khoon k chhinte atay hain balkay isi kisi bhi qisam k jadu ko ap isi amal k zariye check kar sakte hain.
Note: Agar ap hamaray dua program main shamil ho kar apnay liye silsila k Bazurgon say dua bhi karwana chahte hain to hamari website se apnay naam ka ism e azam (wazifa) hasil kar k uski talawat karen aur phir apna naam dua k liye hamen submit karen.