Rajab 2020 k chand ki jo dua ham ap se share kar rahe hain. Is dua ko ap nay mah e rajab 2020 ka chand dekh kar 5 martaba tilawat karna hai. Yehi wo powerful dua hai jisay Rasool Allah S.A.W. Rajab ka chand dekh kar parha karte thay. Isliye fazilat k aitbaar se ye dua bohat hi mujarib hai.

Rajab Ki Dua Ki Fazilat

Bazurg farmatay hain k jo shakhs bhi mah e Rajab ka aghaz is dua ko parh kar karega.

Insha Allah poora saal us k rizq mein bayinteha barkat rahe gi.

Anjanay hadsat se Allah Tabarik o Talah ki panah naseeb hogi.

Har kaam mein Allah ki rahmat e asanian paida hon gi.

Ibadat mein dil lagay ga.

Mian biwi k dil mein aik doosray ki kamal mohabbat paida hogi.

Aulad tabiadar hogi.

Rukay huye kaam hone lagen gay.

Har jaiz dua qabooliat ka darja paegi Insha Allah.

Rajab 2020 k chand ki wo powerful dua ye hai.

Rajab Ki Dua In Arabic 2020

 

Rajab Ki Qurani Dua

Dua e Rajab

Allahumma Baarik Lanaa Fee Rajabin Wa Shabana Wa Ballaghna Shahra Ramazana Wa Aa Inna Alyaa Sayyami Wal Qiyyami Wa Hifzil Li Saani Wa Ghazzi il Basari Wala Aa Taj Al Hazzana Minul Ju Aa Wal Atash.

Rajab Ki Dua In Urdu 2020

Ay Mabood! Rajab aur shaban mein ham par barkat nazil farma aur hamein Ramzan k mahinay mein dakhil farma aur hamari madad kar din k rozay, raat k qayyam, zuban ko rokne aur nigahen nichi rakhne mein aur is mahinay mein hamara hissa mehaz bhook o piyas qarar na day.

Rajab 2020 K Chand Ka Wazifa

Mah e Rajab ka chand dekh kar ye dua is tariqay say parhen. Aap ki jo bhi jaiz hajat hain unhein dil mein rakh kar ye dua 5 martaba awal o akhir 11 bar darood e pak k hamra tilawat karen. Insha Allah aenda saal mah e rajab se pehle pehle ap k dil ki tamam naik tamanaen is mubarak dua k wasilay say qabooliat ka darja paen gi.

Dua

pray.net.pk ki dua hai k Allah ki zaat Hazoor Nabi Kareem S.A.W. k Nalain e Pak k sadqe mein Mah e Rajab ki khas ul khas barkat ka ap par nazool farma kar ap ki tamam jaiz hajat ko qabool o manzoor farmaen ameen sum ameen.