mohabbat aur attraction ka wazifa
gurdon mein pathri ki dua o rohani ilaj
Khawand ke dil mein muhabbat paida karna

Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A.) say riwayat hai k Hazoor Nabi Kareem S.A.W. nay farmaya k “Jis Shakhs nay Juma k din Surah e Al-Kahaf ki tilawat ki qayamat k din az asman ta zameen us k liye noor hi noor hoga aur us k dono Juma k darmian k sab gunah maaf kar diye jaen gay. (Ref: Tafsir ibne kaseer)

Hazrat Bara bin Hazib R.A. riwayat kartay hain k aik Sahabi Surah e Kahf ki talawat kar rahe thay aur un k aik janib 2 rasiyon mein ghora bandha hua tha. Asman say badil utray aur ghoray k qareeb hotay rahay yahan tak k usko dhanp liya. Wo tilawat sun kar khushi say gardan hilanay laga. Subha ko us Sahabi R.A. nay Hazoor Nabi Kareem S.A.W. ko ye majra sunaya to Ap Sarkar S.A.W. nay farmaya k ye Sakina yani rahmat thi jo Surah e Al Kahaf ki tilawat ki waja say nazil hui. Ref: Bukhari Sharif Jild 2 Kitab ul Tafseer Surah e Al Kahaf 4

Hazrat Abul Darda R.A. say rawayat hai k Hazoor Nabi Kareem S.A.W. nay farmaya

“Jis nay Surah Kahf ki ibtadai 10 Ayat yaad kar leen wo dajal k fitnay say mehfooz rahe ga” (Ref: Sunan abi Daood Hadees no 4323)

Surah e Al-Kahf Ka Naqsh

Hamaray Rohani Centre (Pray) mein baad az Namaz e Juma Surah e Kahaf ki ibtidai 10 Ayaat ki kasrat se tilawat aur Ism e Azam ka wird karwaya jata hai aur usi doran Silsila k Bazurg Surah e Al Kahf k Naqoosh (Taweezat) tayar kartay hain aur tilawat aur wird k ikhtatam par tamam Taweezat par dam kar diya jata hai. Hamara Iman hai k Hazoor Nabi Kareem S.A.W. nay Surah e Al Kahaf ki tilawat karnay walay aik shakhs ko rahmat k nazool ki basharat di to hamaray haan yehi Surah Mubarika hazaron ki tadad mein jab talawat ki jati hai to us waqt kis qadar rahmaton ka nazool hota hoga. Is cheez ka andaza ham kabhi bhi nahi kar saktay. Haan magar hamaray Bazurg is qeemti waqt ko ghaneemat jantay huye Surah e Al Kahf k Naqoosh / taweezat zaroor tayar kar letay hain.

Naqsh Surah e Kahf ki Fazilat

Surah e Al Kahf ka Naqsh / Taweez shadi mein asani, rizq mein barkat, jadu ka tor, dushmano k shar say hifazat, bachon ki sehat o tandrusti aur hifazat, karobar mein barkat, bayrozgari se nijat, mohabbat o sulah k mamlat, safar mein asani, taleemi kamyabi, sehat k masail, izzat ki hifazat, gharelu larai jhagron se nijat, man pasand shadi, na farman aulad ko sudharna, aulad e narina, hamal ki hifazat, jismani, nafsiyati o rohani bimarion say nijaat, depression, bay auladi aur deegr jaiz maqasad mein kamyabi k hasool k liye kamal rohani taseer rakhta hai.

Mushahidat

Surah e Al Kahaf ka Naqsh / Taweez jab Sayeleen k naam mansoob kar k unhen arsal kia jata hai aur phir wo us taweez par jab rozana Surah e Al Kahaf ki ibtidai Ayaat ki tilawat aur hamaray Bazurgon ka muntakhib kia hua apnay naam k adad k mutabiq ism e azam ka wird kar k dam kartay hain to is taweez ki rohani taseer aur bhi barh jati hai. Aisa bhi dekhne main aya hai k jin Sayeleen nay safar mein asani k liye ye taweez apnay paas rakha to doran e safar achanak honay walay accident mein unhen kharash tak nahi i aur wo Allah ki panah mein rahay. Baaz dushman jo nuqsan pohanchanay say baaz na atay thay unki dushmani dosti mein badal gai. Jin Sayeleen nay is taweez ko ghar mein lagaya to wahan say nahusat, larai jhagray khatam huye aur ghar mein khair o barkat aur sakoon muyasar hua. Mian biwi mein mohabbat barhnay lagi. Al gharz Surah e Al Kahf ka Naqsh / taweez bari say bari mushkil k hal k liye bohat hi mujarib raha hai.

Naqsh Hasil Karne Ka Tariqa

Agar aap ye Naqsh hasil karna chahte hain to Naqsh Hasil Karnay Ka Tariqa par click karen. 

Similar Taweezat

Popular Videos