Surah Yaseen

  • 397,643 views

Dua For Depression

  • 200,025 views

Name or Shakhsiyat

  • 8,920,185 views

Dua for Marriage

  • 24,183 views

Islamic Wazaif

  • 725,457 views

Baaz auqat Insan kisi aisi pareshani main mubtila ho jata hai k jis k hal honay ki koi umeed nazar nahi ati aur waqt k sath sath wo pareshani barhne lagti hai. Jesa k baaz afrad par ghurbat ki waja say itna qarz ho jata hai k jis ki wo adaigi nahi kar patay. Maa Baap betion k achay rishte ki talash karte karte thak jatay hain magar un k naseeb nahi khultay.

Jin bachion ki nai nai shadi hoti hai unhen susral main aisay masail ka samna karna parta hai k wo musalsal pareshan reh kar kam umri main hi nafsiyati o jismani bimarion ka shikar ho jati hain. Mian biwi ka rishta shak o shubhat aur ghalat fehmion ki bina par kamzor honay lagta hai. Ghar k halat achanak itnay kharab ho jatay hain k karobar, rozgar, jama poonji sab dino main khatam ho jati hai.

Ism e Azam Ya Allah Ka Wazifa

Algharz agar ap kisi bhi aisi pareshani main buri tarha jakray ja chukay hain aur us pareshani say nikalnay ka koi rasta nazar nahi aa raha to Ism e Azam Ya Allah ka rozana kam az kam 66 martaba wird apni zindagi ka mamool banaen.

Ism e Azam Ya Allah Ka Taweez

Agar isi ism e azam Ya Allah ka Naqsh kisi Sayel k pas mojud ho aur wo rozana 66 martaba Ya Allah ka wird kar k Naqsh par dam karay to Allah Tabarik o Talah ki rahmat se wo us pareshani say aisay nijat pae ga k jahan say usay guman bhi na ho.

Naqsh (Taweez) Ki Tayari Ka Waqt

Is Ism Mubarak k Naqsh ko tayar karnay ka behtreen waqt Namaz e Tahajud say Namaz e Fajar ka darmiani waqt hai. Aksar Bazurg khas ibadat, maraqbat, riazat aur Naqoosh ki tayari k liye yehi waqt muntakhib farmaty hain. Ye waqt duaon ki jald qabooliat ka waqt hota hai. Is liye is Ism e Pak Ya Allah k Naqsh ko Namaz e Tahajud aur Namaz e Fajar k darmian tayar kia jata hai. Us k baad hamaray Silsilay (Pray) k tamam members is Naqsh par ism e azam Ya Allah ka aik Karor martaba wird kar k dam karte hain. Jis say Is Naqsh ki Rohani Taseer kai guna barh jati hai.

Ya Allah K Naqsh Ki Fazilat

Ye Taweez/Naqsh jab Sayel k naam mansoob kar k usay arsal kia jata hai to is ko pas rakhne say har qisam ki bimarian door hoti hain. Bachion k liye ache rishte k asbab paida honay lagtay hain. Shadi Shuda larkiyon ko susral main izzat milti hai. Ghar main sukoon aur khair o barkat ati hai. Naqsh pehnnay walay k dil say ghabrahat, baychaini, bay sakooni, bay khawabi jesi kayfiat khatam honay lagti hai.

Usay aisa sukoon e qalb mehsoos honay lagta hai k jiski lazzat us nay zindagi main shayed hi kabhi mehsoos ki ho. Is Naqsh (Taweez) k sath Sayel ko us  k naam k adad k mutabiq free ism e azam bhi dia jata hai. Jab sayel is Taweez par apna ism e azam tilawat kar k rozana dam karta hai aur Allah say dua karta hai to us par anay wali har dua, musibat, gham, pareshani, anjanay hadsat aur nuqsanat tal jatay hain.

Hadees e Nabwi (S.A.W.)

Jesa k Hazrat Jabir (R.A.) kehte hain k main nay Rasool Allah (S.A.W.) ko farmatay huye suna.

Jo koi Banda Allah say Dua kar k mangta hai Allah usay ya to uski mangi hui cheez day deta hai ya us Dua k natijay main us Dua k misal us par i hui musibat door kar deta hai. Jab tak us nay kisi gunah ya qata rehmi (rishta nata tornay) ki dua na ki ho. (Ref: sunan tirmazi hadees no 3381)

NAQSH HASIL KARNAY KA TARIQA

Naqsh hasil karnay ka tariqa jannay k liye yahan click karen.

Similar Taweezat

Popular Taweezat

jadu ka tor taweez
mohabbat aur attraction ka wazifa