Aaj ka mozu hai Fazail Naqsh Surah Al e Imran jis main ham apko bataen gay k aik nabina shakhs nay kis tarha Surah Al e Imran ki tilawat se khofnak toofan ko rok liya. Surah Al e Imran ki fazilat k baray main Hazrat Abu Amama (R.A.) say riwayat hai k main nay Rasool Allah (S.A.W.) ko ye farmatay huye suna hai k Quran e Kareem ki talawat kia karo kiun k wo qayamat k din apnay talawat karne walon ki sifarish kare ga aur jagmagati hui 2 Surah tilawat karo k wo Surah Al Baqarah aur Surah Al e Imran hain.

Hamaray Bazurgon k mutabiq Surah e Imran ka faiz jis insan ko mil jae us par aisi rahmaton ka nazool hota hai jiska us nay kabhi tasawur bhi na kiya ho. Is Surah k fazail main ye kehna bay ja na hoga k jo cheez Rahmat e Ilahi ka rukh apni taraf mor lay wo hai Surah Al e Imran. Ye sirf kehne ki baat nahi balkay is Surah k faiz ka mushahida ham aik waqiye ki ru say bian Karen gay.

Ye waqia us dor ka hai jab mahi geer Kashti main sawar ho kar machliyan pakarte thay aur phir unhen baich kar zarooriat e zindagi ko pura karte thay. Aik din 9 afrad par mushtamil aik groh nay kashti main safar ka irada kiya un main aik bohat ibadat guzar nabeena shakhs bhi tha. Us groh nay kharid o farokht ki niat se us paar Janay ka irada kiya. Sab afrad dariya ka khoobsurat manzar dekh kar lutf andoz ho rahe thay k achanak unhen aisa laga k jesay pani ki lehrain bohat taizi se ubhar rahi hain. Kashti main sawar sab afrad khonak toofan k aasar dekh kar khofzada hone shuru ho gaye. Un sab nay khud ko bachane ki tarkeebain sochni shuru kar deen aur Allah Pak se rahmat ki duaen mangnay lagay lakin ab to asman par gehray badil cha gaye aur taiz hawaen chalna shuru ho gaeen. Sab afrad nay khof say cheekhna chilana shuru kar dia. Achanak unhon nay dekha k wohi nabina shakhs mout k asar mehsoos karne k baad bhi bohat mutmaen betha hai. Un sab afrad nay ye samjha k shayad ye nabina hone ki waja se is barhte huye toofan se khofzada nahi ho raha.

Un sab nay usay us barhte huye khofnak toofan k anay ki khabar di lakin wo phir bhi tas say mas na hua aur bohat itmenan say betha raha. Un sab ko bohat herangi hui k barhta hua toofan kisi bhi waqt unhen mout k mu tak lay ja sakta hail akin us nabina ko to jesay mout ka khof hi na ho. Un afrad nay Allah ki bargah main girgira kar dua karni shuru kar di lakin toofan na ruka aur hawa ki tezi aur pani ki ubharti hui mojon say kashti dolnay lagi. Ab to ye alam tha k un sab par khof tari tha aur pani ki lehrain kashti k bilkul barabar ho gaeen aur dekhte hi dekhte kashti pani main doobnay lagi. Sab afrad mout ka manzar dekh kar zor o shor say Allah se rahmat mang rahe thay. Achanak Nabina shakhs kehnay laga k Khuda ki fori rahmat chahte ho to jo ayat main tilawat karoon tum sab wo ayat dohrao. Phir us nabina shakhs nay buland awaz se ayat e Quran ki tilawat shuru kar di aur wo sab afrad bhi un hi ayat ko dohranay lagay. Unhen tilawat karte huye abhi kuch lamhe hi guzray hon gay k pani ki ubharti hui lehrain pur sakoon hona shuru ho gaeen.

Hawaon ka rukh badalna shuru ho gaya aur dekhte hi dekhte badil bhi ghayab ho gaye. Sirf 5 se 10 minute k andr wo toofan aisay tham gaya k jesay wo tha hi nahi. Wo sab herangi k alam main Khuda ka shukar ada karte huye us nabina shakhs k qadmon main gir gaye aur poocha aap kon hain? Us nay jawab dia k Khuda k Pak kalam Quran e Majeed par pukhta yaqeen say amal karne wala tum hi jesa aik aam insan hon. Phir unhon nay poocha k ap nay kon c ayat tilawat keen k aisa khofnak toofan itni jaldi khatam ho gaya. Us nay jawab dia k main nay Surah Al e Imran ko hifz kiya hua hai aur jab bhi mujhe koi pareshani ho to Surah Al e Imran hi ki badolat pareshani se nijat pata hon.

Hamaray Bazurgon ka kehna hai k Surah Al e Imran k duniavi faiz ki ye aik mamooli c jhalak hai. Surah Al e Imran ka baish baha rohani faiz agar koi insan pana chahe to Surah Al e Imran ki makhsus ayat ko namaz e Fajar k baad mushk o zafran se tehreer kare aur uska Naqsh (Taweez) bana kar galay main pehan lay. Is Naqsh ko pehnnay say insan par aisi rahmaton ka nazool hota hai jiski badolat nagihani aafat o baliyat, mozi janwaron, accident aur jani nuqsan say Allah ki fori panah hasil hoti hai. Agar koi dushman us insan ko marnay ki sazish kar raha ho to Naqsh Surah e Imran ki rohaniat us dushman ki dushmani ko mohabbat main badal deti hai. Jis Insan ko har waqt mout ka khof rehta ho ya usay maray Janay ki dhamki di jaa rahi ho ye Naqsh us insan ki jan ko Allah Pak ki panah main rakhe ga Insha Allah. Algharz Khuda ki rahmat is Naqsh ki surat main us Insan k liye aik bohat mazboot dhaal ban jati hai. Ye Naqsh har lehaz say aik mukamal rohani tahafuz hai.

Agar ap Naqsh Surah Al e Imran ko khud tehreer nahi kar sakte to yehi Naqsh hamaray Rohani Centre Pray (Pray for All) se ehed k zariye Free hasil karnay k liye mard hazrat Hasnain Sahib say 0323-4028555 par aur khawateen syeda behen se 0323-7718185-8 par rabta qaem kar sakti hain. Is Naqsh ko hasil karnay ki mukamal tafseelat jannay k liye video ki description main link bhi day dia gaya hai. Aap us link par click kar k Naqsh mangwanay ki mukamal tafseelat jan sakte hain.

Hamaray Rohani Silsilay k tamam Bazurg ap k liye dua go hain k Allah Pak ki zaat Hazoor Nabi Kareem (S.A.W.) k Nalain e Pak k sadqe main apko har qisam ki aafat o baliat se mehfooz farmaen ameen sum ameen.

Popular Taweezat

Name Aur Apki Shakhsiyat