Kalma Ki Fazilat

Kalma Ki Fazilat

Ya topic kalma ki ahmihat main kalma k fazail o barkat bian kiye gy hain.

Description

Surah Yaseen

  • 397,643 views

Dua For Depression

  • 200,025 views

Name or Shakhsiyat

  • 8,920,185 views

Dua for Marriage

  • 24,183 views

(Kalma Ki Fazilat) main Hazoor Pak (S.A.W) ka irshad hai k is Pak zaat ki qasam jis k qabze main meri jaan hain. Agar tamam Asman o Zameen aur jo log un k darmian hain. wo sab aur jo cheezain un k darmian hain wo sab kuch aur jo kuch un k nechay hain. wo sab ka sab aik tarazu main rakh dia jae aur dosray tarazu main la ilaha illallah kalma ka iqrar. To kalma tayyaba walay tarazu ka wazan barh jaega.

Hazoor Pak (S.A.W) nay farmaya k marnay walay ko kalma sharif la ilaha illallah ki talqeen kiya karo. Jo shakhs martay waqt kalma la ilaha illallah kehta hai. To us k liye is pak kalmay ki barkat se jannat wajib ho jati hai. Sahab (R.A) nay arz kiya Ya Rasool Allah (S.A.W) agar koi tandrusti main kalma shareef parhe to phir.

Kalma Ki Fazilat  Hazoor Pak (S.A.W) Nay Farmaya

Kalma tayyaba la ilaha illallah ki fazilat aur barkat kiya hai. To (Kalma Ki Fazilat)  Hazoor Pak (S.A.W) nay farmaya phir to jannat aur bhi ziada wajib hai us par.Sheikh Abu Yazeed Qartabi farmatay hain k main nay suna jo Shakhs 70,000 martaba pehla kalma la ilaha illallah parhe. Usko dozakh ki aag se nijat mile. Main ney ye khabar sun kar aik nasab yani 70,000 martaba kalma sharif apni wife k liye parha.

Main ney ye khabar sun kar aik nasab yani 70,000 martaba kalma sharif apni wife k liye parha.Aur la ilaha illallah k bohat se nasab apnay liye parh kar zakheera akhirat banaya. Phir farmaya k hamare pas aik nojawan rehta tha jis k mutaliq ye mashoor tha. k yea sahib e kashf hai isay jannat o dozakh ka kashf hota hai. Aur kaha mujhe is main kuch taradud tha.

Kalma Ki Fazilat Ka Waqiyah

(Kalma Ki Fazilat Ka Waqiyah ) Aik martaba wohi nojawan hamaray sath khanay main shareek tha. k us nay achanak cheekh mari aur uska sans pholnay laga.

Aur kaha k meri maa dozakh main jal rahi hai uski halat mujhe nazar ayi. Qartabi kehte hain k mein uski ghabrahat dekh raha tha mujhe khayal aya. k aik nasab iski maa ko bakhsh don jis se uski sachai ka mujhe bhi tajarba ho jae. Main nay un kalmay k 70,000 nasabon main se aik nasab dil hi di main uski maa ko bakhsh diya. jiski khabar mere aur Allah k siwa kisi ko na thi.

Wo nojawan foran hi kehne laga k chacha meri maa dozakh k azab se hata di gai. Qartabi kehte hain k muje is waqiye se 2 faiday huye aik to kalma tauheed la ilaha illallah ki fazeelat.Ahmiat, taqat aur barkat mujh par waziha hui aur dosra us nojawan ki sachai ka bhi muje yaqeen ho gaya.

Kalma ki fazilat In different language

Agar ap bhi kalma ki fazilat in urdu, hindi, English, roman ya kisi bhi language main janna chahte hain. ya audio kalmas, online kalma videos, mp3 kalma free downlad karna chahte hain. To Pray For All pr apko ye tamam facilities provide kar di jaengi. Ap hamari website pray for all par Islamic kalma mp3 video or audio download kar saktay hain.

ya list of six Islamic kalma bhi website par mojud hain. Agar ap 6 kalimas recitation with English translation, six kalmas in Arabic text, six kalma with urdu translation.Six kalma in Arabic with urdu and English translation, kalma pronunciation, Kalma benefits, fazail of kalmas. kisi bhi language main online read karna chahte hain.

Ya phir Islamic kalma books PDF free download karna chahte hain. to Pray For All par iski details mention kar di gai hain. Agar ap 1 kalma, 2 kalma,3 kalma, 4 kalma,5 kalma,6 kalma translation in English, urdu, Arabic. Ya kisi bhi text main alag se read karna chahte hain. To Pray For All par mojud 6 Kalmas main iski details mention kar di gai hain.

Similar Taweezat

Popular Taweezat

jadu ka tor taweez
mohabbat aur attraction ka wazifa

Title

Go to Top