Aaj ham Surah Yaseen kay Herat Angez Kamalat bian karain gay jis k faiz ka mushahida hamary Silsilay ki aik Bazurg hasti nay kia. Rasool Allah (S.A.W.) nay bhi Surah Yaseen ki shan bohat c ahadees mubarika main bian farmai jesa k…

Hadees e Pak: Hazrat Ans (R.A.) say rawayat hai k Rasool Allah (S.A.W.) nay farmaya k har cheez ka aik dil hota hai aur Quran Pak ka dil Surah Yasin hai.

Hadees e Pak: Aik aur riwayat main hai k Rasool Allah (S.A.W.) nay farmaya k mera dil chahta hai k Surah Yasin mere har umati k dil main ho.

Hamaray Rohani Mahreen farmatay hain k Rasool Allah (S.A.W.) say sachi mohabbat karnay walay Sarkar (S.A.W.) ki zuban Mubarak se nikle huye har hukam ki pervi karne k liye hamesha tayar rehte hain. Hamaray Rohani silsilay k aik bohat hi qabil Bazurg jin k liy Rasool Allah (S.A.W.) k har hukam ki tameel Afzal tareen ibadat hai. Unhon nay Rasool Allah (S.A.W.) ki har khawahish ko apni khawahish tasleem kar liya. 

Jesa k Rasool Allah (S.A.W.) nay khawahish zahir ki k Sura Yasin meray har ummati k dil main ho to unhon nay us khawahish ka ehtram karte huye Surah Yaseen ko muhabbat aur shoq se tilawat karna shuru kar dia. Aik arsa guzarne k baad aik din mamool k mutabiq unhon nay Namaz e Fajar ada karne k baad Surah Yasin ki talawat karnay ka irada kia.

Is se pehle k wo Sura Yaseen ki talawat karte unhen aisa mehsoos hua k jesay un hi ki awaz main koi dosra insan Sura Yasin ki talawat main masroof hai. Unhen bohat herat hui k un k ilawa wahan koi aur mojud nahi tha. Jesay jesay waqt guzar raha tha wo awaz aur qareeb say sunai dene lagi thi aur unki herangi bhi barh rahi thi k hub ahu un jesi awaz main bhala un k ilawa koun tilawat kar sakta hai? Usi doran un par Istaghraq (neend) ki kefiat tari ho gai aur unhon nay khud ko Roza Rasool (S.A.W.) k sehan main paya.

Ye sara manzar dekh kar un k wajood main kapkapi anay lagi kiun k wo awaz unhen wahan bhi musalsal sunai de rahi thi. Isi herangi k alam main unhon nay dekha k asman se bohat hi khoobsurat neeli aur safaid noor ki manind roshni Roza e Rasool (S.A.W.) k andr dakhil ho rahi hai. Is se pehle k unki herangi mazeed barhti unhen dil ko mashoor kar dene wali awaz sunai di.

Aye mohib e Rasool (S.A.W.) ham apnay chahne walon ko jab chahen jesay chahen Faiz ata karte hain. Tumhari mohabbat hamen pasand ayi. Kya tumhen tumhari hi awaz main tilawat e Quran karne wali zuban heran kar rahi hai. Wo tumhary hi dil ki awaz hai jo Malik e Kainat Rasool Allah (S.A.W.) ki mohabbat ka saboot de rahi hai. Aaj se tumhara dil zinda ho chukka. Tumhen Surah e Yasin ka faiz Mubarak ho. Us k baad wo Rohani manzar khud ba khud gayab ho gaya aur unhon nay khud ko usi kamray main paya jahan unhon nay Namaz e Fajar ada ki thi.

Un Bazurg hasti nay Surah Yasin k faiz ki basharat ata hone k baad Surah Yasin k faiz ka mushahida karnay k liye Surah e Yaseen ka Naqsh tehreer kia aur apny chand makhsoos mureedon ko ata farma dia. Un mureeden par Allah pak nay aisi karam nawazi farmai k jo bairozgar thay unhen behtreen rozgar ata hua. Jo bemar thay unhen chand dino main shifa e kamila naseeb hui. Jin k ghar main tangdasti aur bay sukooni ka mahol tha unhen ghaibi rizq aur dil ka sakoon ata hua.

Duniavi nematon k ilawa un sab mureedon nay Naqsh Surah e Yasin k aise karamati faiz dekhe jo aam insan k liye khawab ki manind hain. Nazreen ham apko batatay chalen k dunia k mukhtalif mumalik main mojud hazaron afrad Naqsh Surah Yasin ko apnay naam mansoob karwa k hasil kar chukay hain. Agar ap kisi bhi jaez maqsad main kamyabi k husool k liye Naqsh Surah e Yasin ko hasil karna chahte hain to apna naam aur walida ka naam hamain zaroor likhwaen.

Is Naqsh ko hamaray wohi Bazurg ap k naam aur walida k naam mansoob farmaen gay jineh Surah e Yasin ka faiz ata hua. Agar ap bhi ye Naqsh ehed k zariye free hasil karna chahte hain to diye gaye Phone No par Contact karain.

Dua: Hamary Rohani silsilay k tamam Bazurg ap k liye dua go hain k Allah Pak ki zaat Hazoor Nabi Kareem (S.A.W.) k sadqe main apko aisa pukhta yaqeen ata farmaen k aap bhi Naqsh Surah Yasin k bay inteha Rohani faiz o barkat say faizyab ho saken ameen sum ameen.

For Male: 0323-4028555

Female: 0323-7718185-8

Popular Taweezat

jadu ka tor taweez
Khawand ke dil mein muhabbat paida karna
shaitani khayalat khatam karne ka taweez

Name Aur Apki Shakhsiyat