Naqsh Surah e Rahman K Fazail

Aaj ki video ka mozu hai Surah e Rehman k Fazail. Is video main ham Surah e Rahman k aisay heran kun fazail bian karain gay jo aaj say pehle ap nay kabhi na sunay hon gay. Ashiqan e Rasool (S.A.W.) k k liye Surah e Rehman k faiz se bara koi faiz nahi.

Bayshak Aqa e Dojahan (S.A.W.) nay Surah Al Rahman ko bayhud pasand farmaya aur us k fazail o barkat bhi bay hud o hisab hain.

Jesa k Hazrat Ali Karam Allah Wajha say rawayat hai k Rasool Allah (S.A.W.) nay farmaya har cheez ka husn o jamal hota hai aur Quran Pak ka husn o jamal Surah Al-Rehman hai.

Hazrat Bibi Fatima (S.A.) say marvi hai k Rasool e Khuda (S.A.W.) nay farmaya k Surah e Hadeed, Surah e Waqia aur Surah Al Rahman ki talawat karnay wala asman o zameen main Jannat k rehne wala pukara jata hai. (Kanzul Amal)

Hamaray Rohani Silsilay k aik Bazurg jinhon nay Rasool e Khuda (S.A.W.) say ishq ki inteha kar di aur Ashiq e Rasool (S.A.W.) hone ki bina par unhen rohaniat main wo muqam ata hua jo qabil e rashk hai. Unhon nay Ashiq e Rasool (S.A.W.) honay k natay Rasool e Khuda (S.A.W.) k hukam ki pervi ki aur Surah e Rahman ki tilawat ko apnay ooper lazim qarar day dia. Is Surah ki tilawat unki awaleen ibadat thi. Unhon nay Surah Ar Rahman ki tilawat k liye Namaz e Tahajud k baad ka waqt muqarar farmaya. Aik arsa tak is Surah ki talawat karnay k baad aik raat doran e tilawat unhen aisa mehsoos hone laga jesay Quran Pak main tehreer Surah Ar Rahman k alfaz roshan ho rahe hain. Unhon nay apni tawajo hataye bina Surah Rahman ki tilawat jari rakhi aur dekhte hi dekhte Surah e Rahman k alfaz is qadar roshan ho gaye k un alfaz say aisa noor nikla jis nay un ki ibadat gah ko goya Jannat bana dia ho. Un Bazurg hasti ka kehna hai k Surah Al Rahman ko wo alfaz to jesay Malik e Kainat Rasool Allah (S.A.W.) ki mohabbat ka saboot de rahe hon. Wo Rohani manzar bohat dair tak un k dil o dimagh ko motar karta raha jo k Surah e Al Rahman k baish baha rohani faiz k jari hone ki waziha daleel thi. Hamaray Rohani Mahreen ka kehna hai k Allah k har Pak kalam main aisay raaz chuppay hain jo sirf kamil iman walon par hi ayan hote hain. Islie hamary Bazurgon nay Surah e Rehman k Rohani Faiz ko kul insaniat main aam karnay k liye Naqsh e Rahmani tayar kia. Ye Naqsh aisi Rohani khoobion ka hamil sabit hua k bairozgaron ko job mil gai. Bay auladon ko aulad ata hui. Bemaron ko shifa e kamila naseeb hui. Nafarman aulad maa baap ki tabiadar ho gai. Shohar ki bud mizaji mohabbat main badal gai. Bud zuban biwi farmanbardar hogai. Rishton main hayal bandishen toot gaen. Rukay huye karobar chal paray. Pasand ki shadi main hayel rokawaten khatam ho gaeen. Izzat aur kamyabian milni shuru ho gaeen. Susral main bahu ko beti ka darja mila. Algharz Naqsh e Rahmani ka kabhi na khatam hone wala faiz yaqeen aur aqeedat se amal karne walon k liye Qudrat ka azeem tareen tohfa hai. Nazreen agar ap Naqsh e Rehmani ko ehed k zariye Free hasil karna chahte hain to mard hazrat Hasnain Sahib say 0323-4028555 par aur khawateen Syeda Behen say 0323-7718185-8 par rabta qaem kar sakti hain.

Nazreen hamaray Rohani silsilay k tamam Bazurg ap k liye dua go hain k Allah Pak ki zaat Hazoor Nabi Kareem (S.A.W.) k Nalain e Pak k sadqe main apko aisa kamil iman ata farmaen k ap Surah e Rahman ki rohani barkaton say faizyab ho kar dunia o aikhirat main surkhroo ho saken ameen sum ameen.