Maraqaba e Shafa

Is topic main ham apko har qisam ki jismani, nafsiyati aur rohani bemarion ka aik aisa rohani hal bataen gay jo aj say pehle ap nay kabhi na suna hoga. Hamari dunia an gint zahri aur batni bemarion say bhari pari hai. In bemarion k sirf aik hisay k baray main Mahreen maloomat rakhte hain aur insan is aik hisay main say teesray hisay bimarion ka ilaj janta hai wo bhi ibtadai marahil main. Wo bemarian jo akhri marahal main pohanch jati hain unka ilaj insan nahi janta. Algharz insan dunia main mojud in an gint bemarion main say 99 % bemairon k baray main na to maloomat rakhta hai aur na hi inka ilaj janta hai. Ab sawal ye paida hota hai k jo bemarian zahir hain aur zahir nahi inka ilaj kia hai? Ye koi mushkil ilaj nahi balkay agar ham sirf chand cheezon ko darust kar lain to na sirf in bemarion say bach saktay hain balkay har museebat, nagihani afat o baliat, jadu tonay, jinnat, nazar e bad aur dunia ki har musibat aur pareshani se bach sakte hain. Ye cheezain darj zail hain.
Namaz ko sahi tariqay say qaem karna.
Quran pak ko samajh kar parhna.
Kisi bhi fard ki dil azari say bachna.
Waldain ki khidmat ko sab say ziada ehmiat dena.
Ism e azam ki kasrat karna.
Pehle 4 ajza to har insan janta hai magar panchveen cheez jo k ism e azam hai isay kam log jantay hain. Agar ap pehle 4 ajza par amal pera hone main kamyab ho jatay hain to ap ham say rabta kar k ism e azam hasil kar sakte hain. Insha Allah ham ism e azam ko dua aur maraqbay k zariye ap k dil par jari kar dain gay. Jis say ap ko ap k dil par ism e azam ka zikar khud ba khud sunai deta rahe ga. Jiski badolat ap ki rohaniat chand dino main itni ho jaegi k ap Allah k karam say har us bemari se jo ap par zahir hai ya zahir nahi shafa paen gay aur aenda bhi in say mehfooz rahen gay. Ism e azam k mukamal fazail ko zuban ko qalam say bian nahi kia ja sakta. Magar ham apko ye mashwara dain gay k ism e azam ko apna aur apnay bachon ki zindagi ka mamool zaroor banaen. Us k baad hi apko sahi taur par ye maloom hoga k ism e azam k fazail kia hain. Agar ap har bemari say shifa k liye maraqaba ism e azam ki Bazurgon say baqaida ijazat hasil karna chahte hain to Hasnain Sahib say 0323-4028555 par rabta qaem kar sakte hain.
Dua hai k Allah Tabarik o Talah ki zaat Hazoor Nabi Kareem (S.A.W.) k sadqe main maraqaba ism e azam ka faiz ap k liye jari farma kar apko shafa e kamila ata farmaen ameen sum ameen.