Surah Yaseen

  • 397,643 views

Dua For Depression

  • 200,025 views

Name or Shakhsiyat

  • 8,920,185 views

Dua for Marriage

  • 24,183 views

Islamic Wazaif

  • 725,457 views

Hadees e Nabwi (S.A.W.)

Hazoor Nabi Kareem (S.A.W.) nay farmaya k jab Allah k Nabi Hazrat Noah (A.S.) ki wafat ka waqt qareeb aya to unhon nay apnay betay say farmaya k Subhan Allahi Wa Bi Hamdihi (Pak hai Allah apni Tareef k sath) ka wird karte rehna k ye har cheez ki Namaz hai aur is k zariye makhooq ko Rizq milta hai. (Al-Silsilat ul Saihat 134)

Karobar Main Taraqi Ka Taweez

Hamaray Rohani Centre main in Muqadas Kalmat k Naqoosh (Taweezat) bhi tayar kiye gaye hain jo ko rozi rizq main izafay aur karobari nuqsanat ko munafay main badalnay k liye bay hud mujarib hain. Baaz Sayeleen ko ye Naqsh pehnnay k baad Hazrat Noah (A.S.) ki khawab main ziarat ka sharf bhi mila. Jin main say aik sayel ka zikar ham iman ki taqwiyat k liye zaroor karna chahen gay.

Ziarat e Hazrat Noah (A.S.)

Mah e Ramzan k aghaz main ye Naqsh aik aisay sayel nay hasil kiya jisay arsa 5 saal say Karobar main is qadar nuqsan hua k usay apna ghar, ghari, zewar sab bechna para. Us par faqon ki  nobat aa gai. Us k pas itnay paisay bhi na rahe k wo Naqsh ka hadiya rupay paisay ki surat main ada kar sakay. Lehaza usay yehi Naqsh aur us k naam ka Ism e Azam ehed k zariye free arsal kar dia gaya. Ehed ki tafseelat akhir main bian kar di gai hain.

Us Sayel k dil par Hazrat Noah (A.S.) ki zubani in muqadas Kalmat ki fazilat nay na janay kiya asar kia k us nay din raat  us Naqsh par apna Ism e Azam aur yehi muqadas kalimat “Subhan Allahi Wa Bi Hamdihi” ka wird kar k dam karna shuru kar dia. Aik arsa guzarnay k baad aik raat wo yehi amal karte karte so gaya aur usay khawab main yoon guman hua k jesay aik bohat bara maidan hai jis main har taraf dhuwan hi dhuwan hai. Jis main kuch logon k aks dekhai day rahe hain. Magar un k chehray pehchan main nahi aa rahe.

Itnay main door say usay safaid libas main malboos aik Bazurg apni taraf atay dikhai diye. Naqab main unka chehra intehai roshan mehsoos ho raha tha. Unhen dekhte hi wo bay ikhtiyar un k qadmon main gir para  aur ro ro kar arz karnay laga k Sarkar mujhe bacha lain main bhook say mar raha hoon mera karobar khatam ho gaya. Mujhe to Hazrat Noah (A.S.) k un Pak kalmat k waseelay say rizq dila dain jis ki din raat main tilawat kar raha hoon.

Is par un Bazurg Hasti ki dil main utar janay wali bohat hi meeti awaz sunai di.

“Aye Banda e Khuda! Afreen hai tujh par; tu nay ye kalimat itni mohabbat se tilawat kiye k akhir mujhe ana hi para”

Is par wo Sayel chonk para aur kehnay laga, Aap kon hain?

Is par un Bazurg Hasti nay farmaya k “Main wo hoon jis nay is duniya say parda karnay say pehle apnay betay ko Subhan Allahi Wa Bi Hamdihi ka wird karnay ki nasihat ki; aye Banda e Khuda! tera imtehan khatam hua. Lay pehchan lay in chehron ko jinhon nay tujhe faqon tak pohanchaya”.

Us sayel nay kaha k jesay hi wo chehray meray samnay waziha huye to wo dil ko dehla denay wala manzar tha k jin logon k aks main dhuwen main dekh raha tha un k dhar (jism) to insano jesay thay magar un k chehron par haram maal, zana, na haq maal aur ghareebon say bud sulooqi ki mohrain chaspan theen. Mujh par kapkapi tari ho gai k ye sab to wo buraiyan theen jin ka main aadi tha. Ab mujhe samajh aa gai thi k meray hi gunahon k sabab mujh par faqon ki nobat ayi. Main nay usi waqt sachay dil say un gunahon say hamesha k liye toba kar li. Is say pehle k main kuch bolta.

Un Bazurg hasti nay farmaya k “Aye Banda e Khuda! khush ho ja, aaj say tera rizq phir say jari kar dia gaya magar yad rakh ye ghaibi rizq tere liye tab tak hi hai jab tak tu in chehron say door rahe aur teri zuban par ye kalimat jari rahen”.

Sayel nay kaha k us k baad wo khawab khud ba khud khatam ho gaya. Us k baad aglay roz subha uthtay hi darwazay par dastak hui. Jab us nay darwaza khola to dekh a k us ka aik bohat purana dost us say keh raha hai k main aik naya karobar shuru karna chahta hoon. Us karobar ko chalanay main meri madad karo to adha munafa tumhara aur adha mera hoga.

Yaad rakhain! kisi bhi Naqsh, Wazifa ya Dua ka faiz Insan ko Allah k Pak Naamon par Yaqeen kar k hi milta hai. Is main Naqsh tayar karnay wali team ka koi kamal nahi.

Naqsh Hasil Karnay Ka Tariqa

Agar aap ye Naqsh hasil karna chahte hain to yahan click karen.

Similar Taweezat

Popular Taweezat

jadu ka tor taweez
mohabbat aur attraction ka wazifa