Surah Yaseen

  • 397,643 views

Dua For Depression

  • 200,025 views

Name or Shakhsiyat

  • 8,920,185 views

Dua for Marriage

  • 24,183 views

Islamic Wazaif

  • 725,457 views

Susti Door Karne Ka Ilaj

Aaj k topic mein ham shadi shuda khawateen ki sehat aur thakawat or susti ya kamzori ka rohani hal bataen gay jo roz marra k kaam kaaj karte huye bohat c jismani takaleef aur bemariyon ko bardasht karti hain aur un par dawa bhi asar nahi karti. Is video mein ham susti door karne ka ilaj or thakawat ki kuch alamat waziha karen gay aur phir thakawat door karnay ka wazifa aur rohani ilaj bhi bataen gay. Ham apko wo wazifa bataen gay jo Rasool Allah (S.A.W.) nay Hazrat Bibi Fatima (S.A.) ko us waqt anayat farmaya jab unhon nay ghar k kaam kaaj ki waja say ho janay wali thakawat ki shikayat ki. Ye topic khas taur par hamaray Rahani silsilay Pray say munsalik un shadi shuda behnon k masail ko mad e nazar rakh kar tayar kiya gaya hai jo roz marra k faraiz sar anjam detay huye baghair kisi waja k intehai thakawat mehsoos karti hain. Is topic k akhir main ham apko thakawat door karnay ka jo wazifa aur rohani ilaj bataen gay uska faiz har maa, behan, bhai ya bachay k liye barabar hai. Hamein rozana jo calls mosul hoti hain un mein lag bhag 50% aisi hi behno ki calls hoti hain. (Baqol un k ) jin ki sehat ba zahir to bohat achi dekhai deti hai magar jesay hi wo ghar k kaam kaaj karna shuru karti hain to kabhi khana bananay k doran shadeed kamar dard hone lagti hai. Kabhi kandhon par bojh mehsoos hota hai. Bhook kam lagti hai. Khoon ki kami ki waja say rang peela ho jata hai. Aksar dimagh sunn rehta hai. Tangon mein dard rehti hai. Baaz khawateen ki ulti ya seedhi poori tang mein dard hoti hai. Kamar mein khichao ya wazan uthanay ki wajah say mohron ka dard shuru ho jata hai jo k bay hud takleef de hota hai aur aurat is dard mein na to koi wazni cheez utha sakti hai aur na hi seedhi khari ho sakti hai. Jisam mein dard ki wajah say teesain bhi uththi hain. Wazan barhna shuru ho jata hai. Musalsal sar dard, flu aur depression rehne ki waja say baal jharna shuru ho jatay hain. Chirchirapan, bay sakooni, mizaj mein talkhi, kaam kaaj mein dil na lagna aur gharelu kaamo k bojh ki waja say unki dimaghi halat aisi hoti hai k wo bachon ki mar pitai kar k apnay ghussay ko door karne ki koshish karti hain. Algharz har wo maa, behan ya bhai jisay kisi bhi tarha ki jismani thakawat ya aisi bimari hai k dawa asar nahi kar rahi to ham apko iska intehai asan rohani hal bata rahe hain.

Thakawat door karne ka wazifa

Hazrat Bibi Fatima (S.A.) nay Rasool Allah (S.A.W.) say ghar k kaam kaaj ki wajah say ho janay wali thakawat ki shikayat ki to Aap (S.A.W.) nay farmaya “Aye Fatima sotay waqt 33 bar Allahu Akbar, 33 bar Alahamdulillah aur 34 bar Subhan Allah parh liya karo tumhari thakawat doori ho jaegi.(Sahi Bukhari fazail Ashab ul Nabi:3705)
Rasool Allah (S.A.W.) ka thakawat khatam karnay k liye bataya gaya ye wazifa aisi zabardast rohani taseer ka hamil sabit hua hai k har 100 mein say 40 khawateen aisi hoti hain jinhen is wazifay ki adaegi k doran hi apna wajood har qisam ki takleef, dard, thakawat, depression, chirchirapan, ghussa aur zehni kamzori say azad halka phulka mehsoos hone lagta hai. Wazifa mukamal hote hi unhen na sirf pur sakoon neend ati hai balkay un k jisam mein itni quwat e iradi aur taqat bhi paida hoti hai k wo aglay 24 ghenton tak aik machine ki tarha ghar k kaam kaaj ba asani khatam kar leti hain. Aisa bhi dekhne mein aya hai k baaz khawateen thakawat ya baizari ki wajah say namaz ada nahi kar pati theen. Rasool Allah (S.A.W.) k bataye huye rohani faiz say bharpoor wazifay ki barkat se unhon nay namaz ki pabandi bhi shuru kar di.

Nafsiyati o Rohani Bimari ka Ilaj

Ab ham baat karte hain un khawateen ki jin k kehna hai k wazifa karnay k bawajood is wazifay nay un par asar nahi kiya balkay unki thakawat aur jismani takaleef mein aur izafa ho gaya hai. Hamaray zaati tajarbat o mushahidat k mutabiq aisi khawateen ki bemari ki wajah nafsiyati ya rohani ho sakti hai. Baaz khawateen pr agar aik k baad dosri bimari ajae to wo nafsiyati taur par hi ulti seedhi sochen soch kar mukhtalif qisam k weham o waswasay ko apnay ooper itna sawar kar leti hain k shayed un par kisi nay koi jadu tona, sifli amal ya bandish kar di hai. Isi liye ye sochen unhen mazeed bemar kar deti hain. Aisi surat e hal mein bhi koi dawa asar nahi karti aur jo bemari 2 din mein khatam honi thi wo in ulti seedhi sochon ki wajah say 2 mah mein bhi khatam nahi hoti. Go k jadu tona bar haq hai magar ye shart nahi k har bemari ki wajah jadu tona hi ho. Aam insan kabhi bhi khud say ye nahi jan sakta k marz ki wajah jadu tona hai ya jismani o nafsiyati bemari. Ab un khawateen ki bat karte hain jin par waqiye hi jadu tona, bandish aur sifli amal k sath nazar e bad k asrat thay. Is wazifa ko karnay k baad un khawateen ka kehna tha k ye wazifa karnay say hamari tabiyat mein bay chaini aur ghabrahat hui hai. Jesay k koi cheez hamein ye wazifa karnay say rok rahi hai. Kabhi khawab mein aa kar dara rahi hai aur kabhi balon say pakar kar hamein mar rahi hai. Jab ham wazifa chorte hain to sab theak rehta hai aur jab bhi wazifa shuru karen to phir se ye cheezain nazar ati hain aur nuqsan pe nuqsan hone lagtay hain. Is k bar aks baaz khawateen kisi hasid ya dushman ki wajah say nazar e bad ka shikar ho jati hain. Nazar e bud aik hasid ka aisa khatarnak waar hota hai jo janay anjanay mein lagta hai aur sab say pehle insan ki sehat par hamla awar hota hai.

Jesa k Hazrat Jabir (R.A.) say rawayat hai k Rasool Allah (S.A.W.) nay irshad farmaya “Nazar e bad admi ko qabar mein aur oonth ko handiya mein pohancha deti hai”
Aik bat yad rakhen k insan kabhi bhi khud say apni bemari ki asal waja nahi jan sakta. Jis tarha jismani bimariyon k liye Doctor ki hadayat par amal kar k dawa li jati hai. Isi tarha rohani bimariyon k ilaj k liye bhi Kamil Rohani Mahir say hi ilaj karwanay ko tarjeeh deni chahiye. Ham nay apki asani k liye in bimariyon ki alamat biyan kar di hain. Mazeed waziha karte chalen k Rasool Allah (S.A.W.) ka bian karda ye wazifa 33 bar Allahu Akbar, 33 bar Alamdulillah, 34 bar Subhan Allah parhen say Allah ki zaat nay pko jismani thakawat ya deegr bimarion say shifa ata farma di to ap isi wazifay ko apni zindagi ka mamool bana lain. Jin khawateen ko nafsiyati taur par ye mehsoos ho k ye wazifa karnay say marz barh gaya hai ya cheezain nazar ani shuru ho gai hain jesa k ham pehle bata chukay hain to aisi surat e hal mein ap hamaray Rohani Centre Pray say nafsiyati o rohani amraz say nijat k liye Naqsh e Shifa hasil kar sakte hain. 

Hamaray Rohani Mahreen har sal hazaron ki tadad mein Qurani ayat aur Ism e azam say Naqsh e Shafa makhsoos auqat mein tehreer farma kar sayeleen k naam aur walida k naam mansoob farmatay hain. Phir is naqsh ka faiz jari krnay k liye ayat e shifa aur ism e azam ki talawat kar k naqsh par dam kr diya jata hai. Naqsh ka asal rohani faiz tab barhta hai jab har jumerat ko hamaray Rohani Centre mein lakhon afrad apna apna tilawat karda zikar ism e azam dua k liye arsal karte hain. Hamaray Bazurg un tamam afrad ka bheja hua zikar ism e azam Allah k hazoor paish kar k un k liye khasoosi dua farmatay hain aur phir tamam taweezat ya naqoosh par dam kar diya jata hai. Jab arbon kharbon ki tadad mein Allah k pak naamo ka wird un naqoosh par phoonka jata hai to unhi pak naamo k sadqe aur waseelay say naqsh pehnnay walay ki har bemari sar dard, thakawat, depression, chirchirapan, nafsiyati o rohani imraz aur deegr tamam amraz se shifa a kamila naseeb hoti hai. Bazurg farmatay hain k bay shak Allah k pak naamo main hi kul kainat ka faiz aur har marz se fori shifa mojud hai. Nazreen naqsh e shifa sirf shadi shuda khawateen k liye makhsoos nahi balkay koi bhi maa, behan, ya bhai is naqsh ka faiz pa sakta hai Insha Allah shifa un hi ko milti hai jo yaqeen say amal karne walay hon.

نقش حاصل کرنے کا طریقہ

اگر آپ یہ نقش حاصل کرنا چاہتے ہیں تو یہاں کلک کریں۔

Similar Taweezat

Popular Taweezat

jadu ka tor taweez
mohabbat aur attraction ka wazifa