Rizq K Liye Dua

Description

Naqsh No 96: Hazrat Soban (R.A.) kehte hain k Hazoor Pak (S.A.W) nay farmaya.

Taqdeer e Ilahi ko koi cheez nahi badalti magar dua aur umar ko koi cheez nahi barhati magar neki. Insan ko rozi say mehroom nahi kiya jata magar us gunah ki waja say jiska us nay irtakab kiya (Ibne Maja).Is hadees mubaraka k mutabiq Insan ki apni hi bad amaliyon ki waja say us k Rizq main bandish ho jati hai. Rizq ki bay barkati khatam karnay k liye Insan bohat say wazaif aur duaen bhi karta hai lakin uski dua qabuliat ka darja nahi pati.

Hamaray mushahidat k mutabiq dua ki qabuliyat na honay ki sab say bari waja yea hai k Insan rizq main izafay ki duaen to bayshumar karta hai lakin bad amaliyon ko khatam nahi karta. Is waja say us k apnay hi gunahon k asrat us k rizq main bay barkati paida kartay hain. Is k baraks baaz afrad ki zindagi main gunah nahi hotay lakin phir bhi un k rizq main bandish ho jati hai jis ki waja nazar e bad, jadu tona aur kalay ilm ki surat main nehas asrat hotay hain jis ki waja say na sirf rizq say barkat khatam hoti hai balkay gharelu fasadat, na itfaqi aur bohat say dosray masail paida hotay hain.

Agar ap chahte hain k ap k wajud say har kisam k napak asrat khatam ho jaen aur ap k rizq main barkat aur kushadagi paida ho to ham ap ko dua ki qabuliyat ka sab say asan rasta bata rahe hain. Sarkar e Dojahan (S.A.W) farmatay hain k Rajab Allah ka mahina hai aur is mah main Insan ki koi bhi jaez Dua rad nahi hoti. Isliye hamaray Rohani Mahreen har saal Mah e Rajab k doran makhsoos auqat main yea Naqoosh tayar kartay hain jo rizq main bandish ko fori taur par khatam karnay ki zabardast rohaniyat rakhte hain.

Mah e Rajab ki sab say bari fazilat yea hai k is mah main Sarkar e Dojahan (S.A.W) ko nabuwat ata hui jis ki badolat baypanah rahmaton nay dunia main nazool kiya. Isliye is mah main Rohani Amliyat ka faiz bhi fori aur yaqeeni jari hota hai. Agar aap bhi inhi muqadas kalmat say banay is Naqsh (Rizq k liye Dua)k wasilay say Allah ki bargah main apni dua ko fori qabool karwana chahte hain to isay apnay naam mansoob karwa k hasil karain. Yea Naqsh jab sayel k naam mansoob kiya jata hai to usk liye hamaray Dua Program main 3 say 7 juma tak khasusi dua bhi karwa di jati hai.

Note: Agar ap deegr masail e zindagi say nijat k liye hamaray Pray Program main shirkat karna chahte hain jahan par lakhon afrad mil kar ap k liye Allah ki bargah main dua karain gay ya apnay naam ka free ism e azam hasil karna chahte hain ya free online istikhara karwa k masail ka fori rohani hal chahte hain to is ki complete details hamari website Pray.net.pk main darj kar di gai hain.

NAQSH HASIL KARNAY KA TARIQA

 Bairon Mulk Naqsh Mangwanay Ka Tariqa

Bairon Mulk afrad is Naqsh ka Hadiya bazariya Western Union ada kar k Order Form Submit karain. Apka Order Form wasul hotay hi yea Naqsh aap k naam mansoob kar k apko Email kar diya jaega. Aap is Naqsh ko download kar k iska Print nikalwa lain.

Contact For Female   0323-7718187-8

Contact For Male       0323-4028555

skype ; pray.all

 

Title

Go to Top