Rishte Ki Bandish Ka Tor

Aaj ka mozu hai Surah e Muzammil Ka Amal jis main ham Surah Muzammil k Rohani faiz o barkat ka tazkara un Sayleen k liye bian kar rahe hain jinki shadi main rukawat hai ya aisay larkay larkiyan jo pasand ki shadi karna chahte hain lakin us main rokawaten hayal ho jati hain.

Hamaray Bazurg farmatay hain k Surah e Muzammil ki shan o barkat ko alfaz main bian karna bay hud mushkil amar hai. Arsa daraz say ham Surah e Muzamil ki rohani barkaton ka mushahida kartay aa rahe hain. Allah ki zaat nay Surah e Muzammil ki tilawat main kiya faiz chupa rakha hai ye sirf ilm walay hi jantay hain.

Hamaray Rohani Mahreen nay Surah Muzammil k faiz ka mushahida karnay k liye 5 aisay afrad muntakhib farmaye jinki shadi main rokawat thi. Sab say pehle fard ko unhon nay baad az Namaz e Fajar Surah Muzammil talawat karnay ka amar lagaya jiski muddat 21 din thi.

2nd Fard ko har namaz k baad Surah e Muzammil tilawat karnay ka amar lagaya gaya aur is amal ki muddat 27 din thi.

3rd fard ko kaha gaya k ba roz Juma baqaida ghusal karay aur baad az namaz e juma Surah e Muzammil ka Naqsh mushk o zafran say tehreer karay aur phir rozana kam az kam aik martaba Surah e Muzammil ki talawat kar k Naqsh par phoonk maray. Is amal ki muddat 14 din thi.

4th fard ko ye amar lagaya gaya k Naqsh Surah e muzammil no chandi Jumerat ko aik safaid kaghaz par tehreer karay aur phir ism e azam Subhan Allah Ya Wadoodu ko 218 martaba rozana tilawat kar k naqsh par phoonk maray aur is amal ki muddat 41 din thi.

5th Fard ko ye takeed ki gai k Surah e Muzammil rozana 3 martaba khud talawat kare aur dosron ko bhi iski tilawat karny ki takeed kare aur is amal ki koi mudat muqarar nahi ki gai. Un tamam afrad ko 41 din k baad rabta karne ki takeed ki gai.

Bazurgon ka kehna hai k ye 5 afrad aisay thay jinhon nay shadi main hayel rokawat ko door karnay k liye bohat say rohani amal kiye lakin rokawat thi k barhti hi ja rahi thi.

Hamaray Rohani mahreen farmatay hain k Surah e Muzammil ka ye rohani amal mukhtalif afrad say karwanay ka maqsad sirf aur sirf yehi tha k hamain is baat ki tasdeeq ho jae k jis sayel ki shadi main rokawat ho to usay fori taur par door karnay k liye kon sa rohani amal bataya jae. Zahir hai k Mahreen e Rohaniat sirf maslay ka hal talash karte hain aur Faiz ata karnay wali zaat sirf aur sirf Allah Tabarik Talah hi ki zaat hai.

Hamaray Rohani mahreen farmatay hain k 41 roz ka Surah e Muzammil ka wo rohani amal kis tarha k rohani asrat muratab kare ga iska unhen kuch andaza na tha kiun k ghaib ka ilm sirf aur sirf Allah hi ki zaat janti hai. Isliye unhon nay 41 din tak intizar kia aur phir un tamam afrad say halat dariaft kiye.

1st fard jisay Surah e Muzammil baad az Namaz e Fajar tilawat karne ka amar lagaya gaya . Us nay apna mushahida in alfaz main bian kia k main Namaz e Fajar ada karne k baad Surah e Muzammil ko tilawat kar leta tha. Pehle hi din say mujhe aisa mehsoos hua k jesay mujhe dunia ki koi pareshani na ho. Mera sara din khush o khuram guzra. Main bohat khush tha k Surah e Muzammil ki talawat main waqie bohat asar hai. Aik hafta tilawat karne k baad mere zehan main waswasay, shak o shubhat aur gunah k khayalat anay lagay. Main nay khud ko bohat roka k main in shaitani khayalat ko jhatak doon lakin ye bohat mushkil kaam tha. Khair mere zehan main khayal aya k main Surah e Muzammil ki aik bar phir talawat karon jab k main us din Surah Muzamil ki tilawat ka amal pura kar chukka tha. Main nay koshish kar k wazu kia aur tilawat shuru kar di aur usi tilawat k doran mera dimagh bayhud pursakoon ho gaya. Tamam shak o shubhat, gunah k khayalat aur weham sab khatam ho gaye aur usi din sham ko mera rishta tay hone ki baat banti nazar i. Mujhe us din aisa mehsoos hua k jesay Allah ki zaat shayed insan ko faiz ata karnay say pehle us k iman ka imtehan leti hai.

2nd fard nay apna mushahida in alfaz main bian kia k main nay Bazurgon k hukam k mutabiq har namaz k baad Surah e Muzammil ki talawat ki aur theak 3 din k baad meri usi khala ka Phone aya jiski beti k sath meri Pasand ki Shadi hone wali thi yani abhi sirf mangni hui thi lakin khala nay bay buniad baton ki bina par mangni tor di thi. Ab wo sharminda bhi thi aur shadi k liye razamand bhi. Khuda ka shukar ada karta hon k us nay apnay Pak Kalam k sadqe main meri madad farmai aur mein bohat heran hon yaqeen nahi hota k itna arsa koshish karnay aur tarapnay k bawajood meri Pasand ki shadi main hayel rokawat itni jaldi sirf aik asan say amal say kesay khatam hogai.

3rd fard ko ba roz Juma Surah e Muzammil ka Naqsh tayar kr k Surah e Muzammil aik bar tilawat kar k phoonk marnay ka amar lagaya gaya tha. Us k ye alfaz thay k mujhe kisi Amil nay bataya tha k tumhari shadi main bandish hai. Jab tak bandish khatam na ho shadi nahi hogi. Main nay bohat jatan kiye k kisi tarha rishte ki bandish ka tor ho jae bohat Duain aur Wazaif kiye. Hata k mujhe mayusi hone lagi lakin main nay phir bhi dua ka daman nahi chora. Ab sirf ye soch kar Surah Muzammil ka ye amal bhi kar dala k shayad meri dua ki qabooliat k liye Allah ki zaat nay isi amal ko waseela banaya ho. Main zindagi main kabhi itna heran nahi hua jitna is surat ka faiz dekh kar hua hon. Main to rozana Surah e Muzammil ki talawat kar k bas Naqsh par phoonk marta tha k aik raat main soya aur main nay khawab dekha k meri shadi ho rahi hai. Subha ankh khuli to pata chala k ye sirf khawab hi tha. Main amal karta raha aur theak 7 din k baad meri mangni meri aik cousin k sath tay panay k liye isi mah ki 28 tareekh final hogai hai aur Khuda ka shukar guzar hon k meri Dua qabool hui.

4th fard jisay nochandi Jumerat ko Naqsh Sura Muzamil tayar kar k Subhan Allah Ya Wadoodu 218 martaba tilawat kar k dam karnay ka amar lagaya gaya. Us nay kaha k main nay Surah Muzammil ka Naqsh tayar kar k usay apnay ghar main lagaya aur zikar ism e azam ki talawat kar k dam karnay laga. Abhi kuch hi din guzray hon gay k meray sath meri choti behen k rishte bhi ana shuru hogaye. Ham sab herat main par gaye k aisa kesay mumkin hogaya lakin 2 din guzray to phir rishte ana band ho gaye. Phir sab k chehre par mayusi cha gai lakin main nay amal main nagha na kiya. Pooray yaqeen say amal karta raha. 30 din guzarnay k baad meri aur meri choti behen ki shadi ki baat final hogai. Bayshak Allah hi duaon ka qabool karne wala hai.

5th fard jisay Surah e Muzammil ki tilawat karne aur dosron say karwanay ki takeed ki gai. Us nay kaha k Allah k fazal o karam say main in 41 dino main 32 afrad say Sura e Muzammil talawat karwa chukka hon. Jis k inam main mujhe wo ata hua jo shayed kabhi meri qismat main na hota. Jis din say main nay dosron ko Sura e Muzamil talawat karne ki takeed ki. Us din say meri apni duaen qabool ho rahi hain. Main nay socha shayed mera weham ho lakin ye mera weham nahi balkay ye Sura muzammil ka kamal hai. Meray Rab nay meri dua itni asani say sun’ni thi mujhe to pata hi nahi tha. Main apni qismat par rashk kar raha hon. Jin dino main apnay doston aur rishte daron say Surah e Muzammil ki talawat karnay ki darkhawast kar raha tha us din say na mujhe rizq ki tangi hai aur na hi koi aur preshani. Rab say jo mang raha hon mil raha hai. Ab dar hai k kaheen ye faiz khatam na ho jae. Nazreen Surah Muzammil k bayhud rohani fazail ka mushahida kar lene k baad hamaray Bazurgon nay Naqsh Surah Muzammil tehreer kar k hamaray Rohani Centre kay aik lakh members main taqseem farma dia. Phir un tamam members ko apnay apnay Naqsh par kam az kam 1100 martaba Surah e Muzammil tilawat kar k dam karne ka amar lagaya gaya. Us k baad un aik lakh naqoosh ko phir say hamaray Rohani Centre main wapis mangwa lia gaya. Hamary Rohani mahreen nay un aik lakh naqoosh ka faiz jari karne k liye khasusi rohani maraqbat ada kiye. Jis say un aik lakh naqoosh ka aisa faiz jari hua k jis nay Allah k hukam say rahmaton k darwazay khol diye.

Note: Agar apko Naqsh Surah muzammil khud tayar karne main dushwari ho to ap Surah e muzammil k un aik lakh naqoosh main say naqsh hamaray rohani centre say ba tor hadiya hasil kar sakte hain. Agar aap is Naqsh ka hadiya rupay paisay ki surat main ada nahi kar sakte to yehi Naqsh Video ki description main mojud Ehed k zariye Free bhi hasil kar sakte hain. Agar ap naqsh hasil karne ki mukamal tafseelat janna chahte hain to video ki description main diye gaye link par click karain ya phir mard hazrat Hasnain Sab say 00923065111214 par aur khawateen Syeda behen say 00923217970893 par rabta qaem karain.

Nazreen hamara azm kul insaniat k dil main Allah k zikar ki mohabbat baydar karna hai aur is azm ko paya takmeel tak pohanchane main hamara sath dain.

Dua: Pray For All k tmam Bazurg kul insaniat k liye dua go hain k Allah Tabarik Talah ki zaat Hazoor Nabi Kareem (S.A.W.) k sadqe main apko aisa kamil iman ata farmaen k ap bhi Surah e Muzammil k baysh baha rohani faiz ko pa saken ameen sum ameen.