Surah Yaseen

  • 397,643 views

Dua For Depression

  • 200,025 views

Name or Shakhsiyat

  • 8,920,185 views

Dua for Marriage

  • 24,183 views

Islamic Wazaif

  • 725,457 views

Agar ap shadi mein bandish, taleemi nakami, karobari nuqsanat, sehat k masail, bayrozgari, jadu tona, bandish, nazar e bud, gharelu larai jhagray, mian biwi main nachaqi, bay auladi, sas bahu mein takrar, tangdasti ya deegr pareshaniyon main uljhay huye hain aur ap k har kaam main rokawaten aa jati hain. Jis ki aasanii k koi aasar dikhai nahi day rahay to Naqsh e Muqaddas k waseelay say bari say bari mushkil bhi ho to wo fori hal ho jati hai. Naqsh e Muqadas main wo Pak Kalimat tehreer hain jin ki badolat Hazrat Younas (A.S.) machli k pait say sahi salamat bahir aye.

Hadees e Rasool (S.A.W.)

Rasool e Khuda (S.A.W.) ki zubani in muqadas kalimat k fazail suniye k Aap Sarkar (S.A.W.) nay in kalmat k waseelay say mushkilat ka hal kin alfaz main bian farmaya.

Syedna Saad (R.A.) kehtay hain k ham Nabi Kareem (S.A.W.) k pas bethay thay. Aap (S.A.W.) nay farmaya k kiya main tumhein aisi Dua na bata doon k jab koi Ranj o Alam aur Ibtla o Azmaish main mubtila admi isay parhay to uski takleef door ho jae?

Kaha gaya kiun nahi (zaroor bataiye). Aap (S.A.W.) nay farmaya k wo machli walay Sayedna Younas (A.S.) ki Dua hai.

Dua e Hazrat Younas (A.S.)

La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz Zalimeen

Urdu Translation: Nahi Koi Mabood Barhaq Magar Tu Hi, Tu Pak Hai, Bilashuba Main Zalimon Main Say Tha.(Surah Al-Anbiya: 87)

Ref: Silsila Ahadees Sahiha, Tarqeem Al-Bani Hadees No: 1744

Anbiya e Karam (A.S.) ki karamat say har daur k log mutasir hotay hain kiun k un ki Karamat umat e Mohammadia ko mushkilat k hal k liye aik naya rasta dikhati hain. Isi liye Sayedna Younas (A.S.) k ye muqadas kalmat k fazail o barkat jis jis Insan tak pohanchte hain wo apni bari say bari mushkilat k hal k liye khud bhi in kalimat ki tilawat karte hain aur apnay ghar main bhi hazaron aur lakhon ki tadad main har mahinay isa ka wird karwatay hain.

Hamaray Rohani Silsilay (Pray) mein har saal in muqaddas kalimat k Naqoosh (Taweezat) khas auqat main tehreer kar k rakh liye jatay hain aur phir silsilay k tamam members mil kar har saal 10 karor martaba in hi muqadas kalimat ka wird mukamal kar k in Naqoosh par dam kartay hain.

Alawa Azeen hamaray Rohani Centre (Pray) say jo jo Sayeleen apnay masail k hal k liye koi bhi Taweez ba’taur Hadiya ya Ehed k zariye free hasil kartay hain ya phir ham say apnay naam k adad k mutabiq Free Ism e Azam hasil krtay hain to unhen takeed ki jati hai k wo ba roz Juma apna tilawat karda zikar Ism e Azam hamaray Dua Program main dua k liye sms karen.

Is tarha har Juma ko hamaray haan arbon kharbon ki tadad main jo zikar ism e azam wasool kia jata hai aur jo silsila k members nay 10 Karor martaba Hazrat Younas (A.S.) k muqadas kalimat (Wazifa) tilawat kiye hotay hain to ye sara zikar Allah k huzoor paish kar k un sab afrad k liye duaen karwai jati hain aur phir sab Naqoosh (Taweezat) par dam kar dia jata hai.

Jis say in Naqoosh main intehai Rohani Taseer Allah k Pak Kalam ki barkat se paida hoti hai. Jis say Karobar main barkat, shadi mein asani, hamal ki hifazat, aulad e narina, mian biwi mein mohabbat, susral main izzat, pasand ki shadi, rozgar ka husool, safar main asani, sehat k masail, jadu tona, bandish, nazar e bud, bachon ki hifazat, taleemi kamyabi, bay auladi waghaira k ilawa bhi har wo mushkil Allah ki rahmat se asan hoti hai jis ka hal hona aam insan ki nazar main na mumkin ho jae magar Allah k liye to kuch bhi na mumkin nahi.

NAQSH HASIL KARNAY KA TARIQA

Agar aap ye Naqsh hasil karna chahte hain to yahan click karen.

Similar Taweezat

Popular Taweezat

jadu ka tor taweez
mohabbat aur attraction ka wazifa