Subhanallahi Wa bi hamdihi Subhanallahil Azeem k Fazail

Hazrat Abu Huraira (R.A.) say rawayat hai k Rasool Allah (S.A.W.) nay farmaya 2 kalmay aisay hain jo Allah Pak ko bohat pasand hain. Zuban par nahayat halkay magar meezan main bohat bhari hain yani Subhanallahi wa bi hamdihi Subhanallahil Azeem

Hamaray Bazurg farmatay hain k Rahmat e Ilahi ko agar koi Dua fori taur par matwajo kar sakti hai wo Subhanallahi wa bi hamdihi Subhanallahil Azeem hai. Ye Dua Allah ki zaat ko is qadar pasand hai k is ki kasrat karnay wala Allah Pak k qareeb tareen ho jata hai. Is Dua ki kasrat karnay walay ko rahmaten Charon taraf say ghair leti hain. Is Dua k fazail darj zel hain.

Jadu Ka Tor

Agar is Dua ko mushk o zafran say tehreer kar k iska taweez galay main pehen liya jae to sirf 21 din k andr sakht say sakht kalay jadu ka tor ho jata hai.

Dushmani khatam karna

Agar koi Shakhs is taweez ko pehen kar dushman k samnay chala jae to usi dushman k dil main aisi mohabbat paida ho jaegi k wohi dushman bohat jald doston main shumar ho jaega.

Shadi Main Bandish

Jis larki ya larkay ki shadi main bandish ho ya ache rishte na atay hon to wo is taweez ko apnay pas rakhain. Allah Pak ki zaat nay chaha to bohat jald ache gharanay main rishta tay ho jaega.

Bay Auladi K Liye

Jo khawateen bayauladi ki waja say mayoos ho chuki hain unhen chahiye k is taweez ko apnay galay main pehen lain ya ghar main kisi pak jagah par rakhain aur rozana raat ko sonay say pehle shahadat ki ungli say pait par Ya Musawiru, Ya Khaliqu, Ya Baariu sirf 5 martaba likhen. Insha Allah bohat jald koobsurat aulad ata hogi.

Karobar Main Taraqi

Karobari hazrat k liye bhi ye taweez barkat ki aisi chaabi ki manind hai k jitna rizq chahe us say barh kar milay ga.

Job aur Interview mein Kamyabi

Government Job ho ya kisi interview main kamyabi na milti ho is Naqsh ko pehen kar Subhanallahi ya Wadoodu ko sirf 11 martaba talawat kar k interview lene walay par ghaibana phoonk marnaysay wo naram dil ho jaega.

Susral mein Izat

Jin khawateen ko Susral main izat na milti ho, saas, nand ya ghar k dosray afrad chalen chal kar bahu ko zaleel karte hon to is taweez ki barkat se Susral walon k dil main bay panah mohabbat aur izzat paida hogi.

Gharelu Jhagray

Jis ghar main har waqt larai jhagray aur bay sukooni ki kaifiat ho to us ghar main is taweez ko aisi dewar par lagaya jae jahan par ghar k sab afrad ki nazar parti rahe. Insha Allah chand dino main ghar say nahoosat khatam aur khushion ki amad hogi.

Visa Approval

Bairon mulk safar k liye visa na lagta ho ya kisi bhi qisam ki rokawat ho to ye taweez zaroor azmaen.

Rohani Tahafuz

Yaad rakhain k in masail k ilawa bhi agar ap kisi maslay main uljhay huye hain jesa k jaidad k masail, Jail say rehai, jhoota muqadama, pasand ki shadi, jinnat ki hazri ka tor waghaira to is taweez ko sharf e zohra k doran mushk o zafran say tehreer karain. Insha Allah har qisam ki shareer cheezon jinnat, asaib aur anjanay hadsat say Allah ki panah hasil hogi.

Rishton mein mohabbat

Is taweez ko agar grehen k doran tayar kia jae to mohabbat k masail dino main hal hote hain. Rothay huye maan jatay hain. Naraz biwi ya shohar k dil main mohabbat aur kashish paida hoti hai. Tootay huye rishte jur jatay hain. Pasand ki Shadi main asanian paida ho jati hain. Dosti k rishte mazboot ho jatay hain. Rishton main bud gumanian, ikhtilafat aur narazgian khatam ho jati hain.

Ba izat hone k liye

Sharf e qamar k doran ye taweez tayar karnay say is main aisi taseer paida ho jati hai k har khas o aam k dil main aisi kashish paida hoti hai k wo mutasir huye bina nahi reh patay. Is taweez say khas taur par wo log ziada faida utha sakte hain jo awam k sath wabasta hon jesa k hakeem, Doctor, Dokandar, Karobari afrad waghaira. Is taweez ki badolat bohat jald izzat o azmat aur shohrat main izafa hota hai.

Note: Agar ap ko ye taweez khud tehreer karnay main kisi bhi qisam ki dushwari ho to aap yehi taweez hamaray Rohani Network say ehed k zariye free hasil karnay k liye diye gaye Phone no par rabta qaem kar sakte hain.

For Male: 0323-4028555

Female:0323-7718185-8